Tuesday, 3 April 2018

Yeh Kis Ka Laho Tha


Yeh Kis Ka Laho Tha Jo Aaj Yahan Bha Hai,
Munisf Tu Chupe Hai, Qatil Dekho Kahan Kahan Hai.

Woh Qatal Karke Bhi Farar Rehte Hai, Jab Hum Kehte Hai Qatil Wahan Hai, Woh Kehte Hai Kahan Kahan Hai.

Hum Toh Munisf Se Insaaf Ki Umeed Lagaye Baithe Hai,
Kya Faisla Kare Ga, Jo Milte Dushman Se Wahan Wahan Hai.

Kisi Ne Kaha Hai Wahan Ek Jannat Bhi Huva Karti Thi,
Jahan Roz Khoon Behta Hai Aur Dhuan Dhuan Hai.

Khoon Behta Rahe Ga Karwan Phir Bhi Chalta Rahe Ga,
Jahan Koi Sow Ke Nahi Jagta, Woh Bhi Ek Jahan Jahan Hai.






The poetry is dedicated to conflict-ridden Kashmir- My home.


No comments:

Post a Comment